Monday, August 6, 2007

Sharaab-e-Tanhayee(Have u Ever Loved anyone?)

Sharaab-e-Tanhayee ko pee gaaye hai hum jaan bujh ke,
Paaththar ban gaya Dil tabse mera,
aab dhadakta nehi hai.Isme na to tumhari thi kasoor,
na khata ishq me hamari,Waqt ne aisi khel dikha diye,
Ke hum baith gaaye karne shaayri.Kahen bhi ti to kya kahen kissi se,
Lafz bejubaan hai mera,Aashqui ki thi tumse ekbar baas,
Mohabbat ka ek lamha bhi nilakle ne paaya.
Ungli utthakar kissi ne dikha diye humko,
aur chupke se kehen gayen tumse,Badnaam kyun hote aise ho?
Beshaq dur rahon aise shaayar aashiq se.
Rahon me nikalte the jab bhi, sochte the ke hum hai baadshah koi,
Gooroor tha har ek kadam me ,Ke tumhare dil me saltanat hai meri.
Achanak tum dur ho gayee mujhse,
Na jaane logon ne kya kehe diya khilaf hamare,
Tabse shayri meri baan gaayi matam,
aur hum Jaan bujhke pee gaaye Sharaab-e-Tanhayee.

Ek Talaash...

Main raahi akela tha khushiyon ki talaash mein,
Na jist koi saath mere is kaainat mein,
Dar dar raha bhatakta main kai raaston par,
Jo bhi mile the masroof apni hi talaash mein,
Dil ne kaha chhod de umeed tu ab khushi ki,
Chupa kar is aas ko nikle ghum ki talaash mein,
Rahen aati gayi manzilein jaati gayi hum chalte gaye,
Talaash mein the jis talaash ki woh ayi na rah mein,
Kya kare is talaash ko ab hum rok bhi nahi sakte,
Raasta bhatak gaye is talaash ki talaash mein,
Yeh kaise kashmokash mein tum phas gaye 'Abrar',
Koi hum ko bhi talashe jo kho gaye is talaash mein...

kesi wafa hai jo wo nibhaye ja rahe hai......

dosto ko adaab...........ek nayi gazal ke saath hazir houn apki ray ka muntazir

kesi wafa hai jo wo nibhaye ja rahe hai,

Har qadam hume hi kyoun azmaye ja rahe hai.

Hamari her sans men wo hain shamil,

wo din-o-din hume bhoolaye ja rahe hai.

Nazar chahti hai dilbhar ke dekhna unko,

wo humse doori badaye ja rahe hai.

Ab tere sheher men ake bick jaong ,

Wo bhi hamari boliyan lagaye ja rahe hai.

Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,

wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hai.

Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif'',

Uske kitne chehre samne laye ja rahe hai.

kyoun koi gila - shiqwa hum kisi se karenge,

kyoun koi gila - shiqwa hum kisi se karenge,
Us shaks se kabhi hum mila hi na karenge.
jo humko bhool chuka hai kabka,
Hum bhi use ab yaad na kiya karenge.
Rishte jo nibhaye usne ghero ki tarha,
Hum bhi ab use apna na kahenge.
Jagti aankho se dekhe they jo manzer,
use hum bas sapna kahenge.
Jo dard ubhra hai kuch roz men bhar jayga
''kashif''Ab hum kuch apne liye bhi dua karenge.