Monday, August 6, 2007

Tere liye

Paani ko bhi Sharaab bana dete,
Tere Liye sharab ke tub Bharwa dete,
Kambakht peete nahi ho tum mere saath,
Warna taj Mahal ko bhi Beer Baar bana Dete.............

KABR ke us par....chupne do mujhe

Barbaad hone do mujHe, apni najron se girne do mujhe
aaj us bewaffa ki yaad mein, jalne do muhhe
aab hum jeeyein to kiss ke liye
maut ki raah par chalne do mujhe
mat roko humein fanna hone se
tadapti shamma ki tarah bujne do mujhe
nah do humein risto ka vaasta tum
kagaz ki kasti ki tarah dubne do mujhe
mat sikayo humein hasna tum
saans lene k andaaz bulne do mujhe
mat dekho humari nigahon mein
tanhai mein aashq bahane do mujhe
dil aur rooh ko shikayat hai mujse
KABR ke us par....chupne do mujhe
ishq mein marna, kaam hai deewano ka
fanna ho-kar, yhe rasm nibane do mujhe........

saakii ab meraa zaam na bhar!

साकी अब मेरा ज़ाम न भर! मदहोश हुआ बेहोश न कर!
मयखाना महफ़िल खूब हुआ! अब जाने दे मुझे अपने घर!
मैं तन्हा भी हू रात भी है! ना कोई मेरे साथ भी है!
थामे मुझको कोई क्यों कर! खाके ठोकर गिर गया अगर!
पीने से क्या गम जाता है! क्यों मुझको तु बहलाता है!
यारा ऐसा होता जो अगर! ये दुनियां पीती शाम-सहर!
बाँदाकश और भी आये है! आवाज़ तुझी को लगाये है!
एह्सान ज़रा उनपे भी कर!
जा उनके खाली ज़ाम तु भर!यांरा की मेरे है फ़ितरत!
प्याले से उसको है नफ़रत!जो मेरी खोज में आया गर!
ढ़ा देगा मयखाने पे कहर!क्यां मेरी सूरत भा ली है!
अब ज़ेब भी मेरी खाली है!ये प्यार जताना बन्द भी कर!
तु एक अशरफ़ी का चाकर!कल फ़िर से लुटने आऊँगा!
कुछ और अशरफ़िया लाऊंगा!कुछ वादों पर भी यकीन कर!
अब हँसते हँसते रुखसत कर!

zeher

waada karna aur nibana....yhe alag baat hai
dil dena aur dikawa karna...yhe alag baat hai
hum to sirf ek jaam peena chahte the tere haathon se
tu zeher hi pilaye......yhe alag baat hai

peeta hoon......

apne aansoo thode se milaa ke peeta hoon
paani ko sharaab main banaa ke peeta hoon
chupke-chukpe unka deedaar karta hoon
main sabki nazron se chhupaa ke peeta hoon

Pehli Baar

" Isko Jaam Pila na Saki, Isne Pee hai Pehli Baar.
Sabko Muft Pilana saki, Humne Pee Hai, Pehli Baar.
Waise Peene Walo Ko Jaam Pe Jaam Tu Deta Hai,
Iske Liye Kam Lana Saki, Isne Pee Hai Pehli Baar."

Mujhe Intezaar Hai kisi ke aane ka...

Hame bhi shauk hai bazm ko is kadar sajane ka,
Doob jaayen nashe mein na hosh rahe thikane ka,
Aaj mat pila saaki jaam bar jaam,
Ghar jana hai mujhe intezaar hai kisi ke ane ka,
Yeh kehkar ham chal diye maikade se usdin,
Raat to intezaar mein kat gayi khabar nahi unke aashiyaane ka,
Waqt ne ek aur ranj kiya mere saath is baar bhi,
Khat aya usika Likha yeh raasta tha teri aadat chudane ka,
Aadaton ke hamkadam aadaton mein ulajh kar reh gaye,
Ham aadi the peene ke gam mein mauka mil gaya maikade jaane ka,
Samjha nahi aaj bhi woh meri in aansuon ko,
Main peeta raha saaki ke sang jaise daaman ho yaar ka,
Bas aur nahi jee sakta main is zindagi ko is kadar,
hara hua insaan hun ab mauka nahi hai jeet paane ka,
Mar ke mit jaane de aaj mujhko is pal is ghadi,
Ke ab bacha nahi mere paas kuch aur peene ke liye lutaane ka...